- Aala nasab
- Aala hasab
- Qaum ashraf
- Qabeela ashraf
- Khandan ashraf
- Aapka naam ahrmed rakha gaya jis ka matlab hai sabse zyada qabil-e-tareef
- Aap sabse zyada sakhee (generous) thay
- Sabse zyada bahadur thay
- Sabse zyada duniya se be-raghbat (indifferent) thay
- Sabse zyada maharbaan thay
- Sabse zyada khubsoorat chehre wale thay
- Yaani sirf akhlaaqi aitbaar se hi khubsoorat nhi thay, Allah ne aapko shakl-o-soorat bhi behad haseen di thi
- Sabse behtreen akhlaaq ke haamil thay
- Bohat naram dil wale thay
- Nihayat maharbaan dost thay
- Tamaam jahan walo ke liye rahmat bana kar bheje gaye thay
- Kasrat se zikr-e-ilaahi karte thay
- Aap har waqt allah ko yaad karte aur kasrat se tasbeeh aur istighfaar karte
- Ek din mein 70-100 times istighfaar karte
- Jab kabhi ghamgeen hote to ya hayyu ya qayyoomu birahmatika astaghees parh allah se fariyad karte
- Aap apne waqt per namaz parhte thay
- Aap raat ka ek taveel hissa qayaam karte thay means kharre ho kar namaz parhte thay
- Namaz mein quran ko thahar thahar kar parhte thay
- Aayat-e-rahmat per ruk kar allah se rahmat maangte aur aayat-e-azaab per ruk kar allah se panah maangte
- Itni ibaadat karte ke pair sooj jaate aur farmate ke kya main allah ka shukr guzaar banda na banu
- Lekin logo ko halki namaz parhaate
- Namaz ke dauraan agar bachche ke rone ki awaz aati to namaz ko mukhtasar kar dete
- Beemar hote to baith kar namaz parhte lekin namaz chhorrte nhi thay
- Safar mein namaz-e-qasr ada karte
- Din charhne per nama-e-chasht ada karte
- Larrai mein fatah hoti ya koi khushi naseeb hoti to fauran sajda karte
- Yaani har aham kaam mein fauran namaz ki taraf daurrte
- Ramzan ke maheene mein nek kaamo mein bohat barh jaate thay khusoosan sadqa aur khairaat karne mein tez aandhi se bhi zyada barh jaate
- Jibreel (AS) ke saath quran ka daur karte
- Jaise hi ramzan ka akhri ashra shuru hota to aap khud bhi jaagte aur apne gharwalo ko bhi jaate
- Har saal aitkaaf karte
- Ramzan ke alawa shaban mein bhi kasrat se roze rakhte
- Baaqi maheeno mein bhi bohat roze rakhte
- Kabhi lagatar itne roze rakhte ke lagta tha ke abb kabhi aap roza nhi chhorrenge
- Aur jabb nahin rakhte to aisa lagta tha ke abb kabhi nhi rakhenge
- Chand ki 13, 14, 15/monday/thursday/10 Muharram aur ashra-e-dilhijah ke roze rakhte
- Shawwal ke 6 rozo ka bhi ahtamaam farmaate
- Roza aksar khajoor se iftaar karte
- Eid per ghusl karte
- Behtreen libaas pahante
- Eid ke liye paidal aate aur jaate
- Khwateen ko bhi eidgaah jaane ka hukm dete
- Eid-ul-fitr ke din meethi cheez khaa kar namaz ke liye jaate
- Eid-ul-azha ke mauqe per har saal qurbaani karte
- Khud bhi sadqa karte aur doosro ko bhi sadqa karne ka hukm dete
- Koi cheez kal ke liye bacha kar nhi rakhte thay
- Koi sadqa le kar aata to uss ko dua dete
- Kisi mangne wale ko inkaar na karte
- Agar kuchh dene ke liye paas kuchh na hota to khamoshi ikhtiyaar karte
- Kisi ko hadiya keh kar dete to kisi ko kuchh hiba kar dete
- Kabhi khareed-o-farokht mein zyada adayegi karte
- Qarz lete to zyada lautaate hanlanki maal ka zaaya karna bilkul pasand na tha
- Gharwalo ki khidmat karne ko aib mahsoos na karte
- Aap apna joota khud see lete thay matlab usay khud hi repair kar lete thay
- Paani bharne ke dol ko bhi khud hi repair kar lete thay
- Apne kapdo per bhi khud hi paiband laga lete aur see lete thay
- Kapdo per lagi hui chhoti moti gandgi jaise baal ya keerre etc khud hi saaf kar lete
- Apne haath se bakri ka doodh nikaal lete thay
- Oral hygeine ka bohat khyal rakhte thay
- Subah so kar uthte to sabse pehle miswak karte
- Ghar mein enter karte to pehla kaam miswak karna hota
- Sote waqt bhi miswak aapke paas hota
- Jo shakhs raat ko wuzu karke sota hai to poori raat farishte uss ke liye rahmat ki duayein karte hain
- Aap (saw) har namaz ke liye alag wuzu karte
- Wuzu ka aaghaaz bismillah se karte aur kabhi ek hi wuzu se kayi namazein bhi parh lete
- Wuzu mein paani ke israaf (wastage) se bachte
- Right hand se khaate
- Apne saamne ki side se khaate
- 3 ungliyon se khaate
- Khaane ke baad ungliyaan chaat lete
- Khaane khaate hue tek na lagate
- Let ke bhi nhi khaate thay
- Zameen per baithte aur khaate thay
- Koi bhi cheez uss waqt tak na khaate thay jabb tak ke confirm na ho ke kya hai
- Kisi khaane mein aib nahi nikaalte
- Khaane ke baad alhamdulillah kehte
- Makkhan aur khajoor pasand farmaate
- Bohat hot drinks nahin peete thay
- Peene mein sabse zyada pasandeeda thandi aur meethi cheez hoti jaise sharbat
- Paani right hand se 3 saans mein peete
- Khaane mein doosro ko shareek karna pasand karte
- Hazrat Anas(ra) se farmate ke dekho agar koi mere saath khaane mein shaamil ho jaye
- Kabhi bistar per sote to kabhi zameen per
- Dahini (right) karwat se sote
- Leather ka takiya aur bistar istemaan karte jis mein khajoor ki chhaal bhari hoti
- Isha ki namaz se pehle sona pasand nahin farmaate thay
- Raat sone se pehle surma lagaate aur dua parh kar sote aur dua parhte hue jaagte
- Aapki chaal ba-waqaar aur pur-sukoon thi
- Jab chalte to peechhay murr kar nahi dekhte thay
- Kabhi joota pahan kar aur kabhi nange pair bhi chalte
- Ye baat aap (saw) ko napasand thi ke koi aapke peechhay chale
- Jis tarah ka bhi kapda mayassar hota pahan lete
- Achchhe se achchha bhi aur paiband laga kapda bhi pahan lete
- Dikhaawe ke liye kapda pahanna pasand nahi farmaate thay
- Mardo ko resham pahanne se mana karte
- Kurta pasandeeda libaas tha
- Poori aasteen zeb-e-tan farmaate
- Umaama kabhi topi ke saath aur kabbi baghair topi ke istemaal farmaate
- Chandi ki angoothi pahante
- Zyadatar green color pasand tha
- Ghorre oont gadhe aur khachchar etc sab per sawari kar lete
- Kabhi apne aage ya peechhhe kisi aur ko bhi saath bitha lete
- Aksar sawari per nafil namaz ada karte
- Thursday ke din safar karna pasand karte
- Safar se wapsi per ghar jaane se pehle masjid mein 2 rakat namaz ada karte
- Mulaqat ke mauqe per salam mein pahal karte aur musafa karte
- Jab tak doosra shakhs haath na chhorrta aap bhi nhi chhorrte
- Salam ka jawab zabaan se dete sirf ishaare se nahin
- Mulaqat ke waqt baat ko dhyan se sunte
- Jab aap kisi majlis mein tashreef farma hote to jis baat per log taajjub karte uss baat per aap bhi taajjub karte
- Majlis mein jab koi hansta to aap bhi muskuraate yaani mood off karke ya bilkul chup kar ke nhi baithe rehte thay
- Kabhi koi baahar ka aadmi sakht kalaami karta to tahammul se kaam lete aur sakht jawab nahin dete
- Ehsaan ka badla dene wale ke siwa kisi ki tareef pasand na karte
- Zaroorat se zyada tarreef bhi napasand thi
- Kisi majme mein jaate to jahan jagah milti wahin baith jate
- Chheenk aane per awaz ahista ka lete aur alhamdulillah kehte
- Koi aur chheenkta to jawab bhi dete yaani ke yarhamukallah kehte
- Chehre ko haath ya kapde se dhaanp lete
- Jamhaai (yawning) ke waqt bhi aisa hi karte ya rok lete
- Majlis ke ikhtitaam () per Allah ka zikr karte
- Aap (SAW) kasrat se Allah ka zikr karne waale thay aur aapke kalaam mein laghw aur bekar baatein na thi
- Aap (SAW) ka kalaam waazeh (clear/understandable) tha.
- Samjhane ke liye thahar thahar kar bolte thay
- Baat ko 3 baar dohraate thay
- Is tarah bolte ke sunne wala baat poori tarah samajh jaata
- Aisi guftgu farmaate ke agar koi alfaaz (words) ko ginna chaahta to gin sakta tha
- Aap (SAW) baat utni karte jitni zaroori hoti
- Aap (SAW) ko bohat zyada sawaal (questioning) aur qeel-o-qaal (gossips) pasand nahi thay.
- Aap (SAW) ki guftgu mein kisi ki na to gheebat hoti aur na hi taane hote.
- Aap (SAW) kisi ke aib nahi ginwaate thay
- Aap (SAW) kisi ke androoni baaton (internal/personal affairs) ki toh mein na rehte thay
- Baat wahi karte jis se koi mufeed (beneficial) nateeja nikal sake
- Aap (SAW) zyadatar khamosh rehte aur kam hanste lekin bohat khushmizaaj thay
- Khush hote to aap (SAW) ka chehra mubarak chamak uthta tha aur jab naraz hote to chehre per narazgi ka izhaar hote means jo dil mein hota wahi baahar hota
- Na khushi mein kehkahe thay aur na rone mein cheekh pukaar thi. Bass ankhon ashqbaar hoti yaani aansu aa jaate
- Hazrat Jareer (RA) farmate hain ke aapne kabhi mujhe apne paas aane se nahin roka aur kabhi aisa nahin hua ke maine aapko dekha ho aur aap muskuraaye na ho
- Aap (SAW) ka akhlaaq Quran tha yaani ke Aap (SAW) chalta phirta quran thay
- Hamesha sach bolte aur jhooth se nafrat karte
- Waade ki paabandi karte
- Haq ki himayat karte
- Bohat bahadur aur nidar thay
- Mushkilat aur pareshani mein sabr karne wale thay
- Baa-parda kunwati larrki se zyada hayadaat thay
- Jo aapko dekhta aapka rob uss per parrta lekin jaise jaise aashna (acquented) hote aapse mohabbat karne lagta
- Aap narm mizaaj thay. Sakht mizaaj na thay.
- Dunkiya aur uss ki cheezein ghussa na dila sakti thi
- Agar koi haq ki mukhaalifat karta tab hi ghussa karte
- Zaati (personal) maamlo mein kabhi ghussa na karte aur na hi kabhi intiqaam liya.
- Barri se barri sakht baat per aap tahammul se kaam lete
- Burai ka badla burai se na dete thay balki maaf farma dete aur darguzar kar dete thay.
- Azwaj-e-Mutahharaat (His (SAW) wives) ke saath nihayat achchha bartaaw tha
- Unn se achchhe akhlaaq se pesh aate
- Hazrat Aisha (RA) ko Aa-ish keh kar pukaarte
- Ek jagah khaana khaate
- Ek bartan se ghusl kar lete
- Unn ki god mein tek lagate aur quran parhte
- Hazrat Aisha ke saath daurh (running) ka muqabla kiya to ek baar wo aage nikal gayi aur doosri dafa Aap (SAW) unn se aage nikal gaye
- Azwaj-e-Mutahharat ke saath adl-o-insaaf ka maamla karte
- Bachcho ke saath intahaai shafqat se pesh aate
- Unn ke paas se ghuzarte to khud salaam karte
- Fatima (RA) aati to unn ke haath aur maatha chumte phir khaas jagah per bithaate
- Hazrat Hassan (RA) bin Ali (Ra) ke liye apni zabaan nikaalte to wo apko dekh kar muskuraate yaani bachcho ke saath bachcho ki tarah maamla karte
- Aap namaz parh rahe hote aur Hasan (RA) aur Hussain (RA) khel rahe hote aur aapki peeth (back) per sawaat ho jaate jabb aap sajde mein jaate
- Umaama jo aapki nawasi thi kandhe per hoti aur aap (SAW) namaz parha rahe hote
- Fajr ki namaz ke baad masjid mein saathiyon ke saath baith jaate
- Unn ki baatein sunte. Koi khwaab sunaata to uss ka matlab bayaan karte. Sher (poetry) bhi sunte aur uss per inaam bhi dete
- Ghaneemat ya sadqa baantte. Hadiya qubool karte aur badle mein bhi dete.
- Khushbu bohat pasand thi. Iss liye khushbu ka tohfa kabhi radd na karte
- Achchhe naam pasand karte aur bure naam badal dete
- Mehmaan nawazi mein bohat aage rehte
- Khud bhi mehman nawaazi farmaate
- Kabhi aisa bhi hota ke ghar mein saara khaana mehmaan ki nazar ho jaata aur ghar wale khud faaqa karte
- Dawat bhi qubool karte
- Agar koi ghulaam bhi Jou ki roti ki dawat karte to qubool farmaate yaani mamooli se mamooli cheez ki bhi dawat qubool farmaate
- Logo ki hidaayat ke liye tadapte
- Aap farmaate thay
[Yassiru wa la tuassiru] Aasani kiya karo, mushkil paida na kiya karo
[Bashshiru wa la tunaffiru] khushkhabri diya karo aur nafrat na dilaaya karo - koi do baaton mein selection karna hota to aasan ko select karte basharte ke gunah na ho
- Aap (SAW) ne kabhi kisi pe apna haath nhi uthaaya aur na kisi ki tauheen ki
- Logo ko aapse door nhi kiya jaata tha
- Aap (SAW) ke liye hato bacho ki awazein nhi aati thi
- Aur na logo ko aapse mar mar kar door kiya jaata
- Kisi muhim per logo ko rawana karte hue ameer-e-karwan ko dua dete aur naseehat karte
- Miskeeno ke kaam aate aur yateemo ki sarparasti karte
- Maqroozo ko qarz utaarne mein madad karte
- Ghulamo ke saath husn-e-sulook karte aur unhe azad karte aur azar karne ki takeed farmate
- Miskeeno aur bebaso ke saath aise baithte ke koi aapko pehchaan nahi sakta tha
- Bewaon (widows) aur miskeeno ki zarooratein poori karne ke liye unn ke saath jaate
- Ek maamuli laundi (female ghulaam) apne masail ke solution ke liye aapka haath pakad kar aapko jahan chaahti le jaati
- Aap ghareeb logo ki baat bhi iss tarah sunte thay jaise kisi bohat important shakhsiyat ki sun rahe ho
- Jab koi maangne wala ya zarooratmand aata to sathiyon ko nekiyon mein shareek karte
- Logo ke gham mein shareek rehte aur kamzor musalmaano se khud milne jaate
- Unn ki iyaadat ke liye jaate, dua farmaate aur unn ka janaza bhi parhte
- Jaanwaro per bhi khaas rehmat aur shafqat farmaate
- Darakhton (Trees) ko bina wajah kaatne aur khetiyaan kharaab karne se mana farmaate thay
Friday, July 30, 2010
Akhlaq-e-Nabvi - Edited
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
ALLAHOAKBARKABEERA.............mere NABI kiSHAAN hi kuch ayesi hai................MASHAALLAH...........
ReplyDelete